Sawal Yeh Hai Kitaboon Ne Kiya Diya MUjh Ko Nazeer Baaqri Sad Urdu Poetry
Sawal Yeh Hai Kitaboon Ne Kiya Diya MUjh Ko Nazeer Baaqri Sad Urdu Poetry |
سوال یہ ہے دھواں بناکے فضا میں اُڑا دیا مجھ کو میں جل رہا تھا کسی نے بُجھا دیا مجھ کو ترقیوں کا فسانہ سُنا دیا مجھ کو ابھی ہنسا بھی نہ تھا اور رُلا دیا مجھ کو میں ایک ذرہ بلندی کو چھونے نکلا تھا ہوانے تھم کے زمیں پر گرا دیا مجھ کو کھڑا ہوں آج بھی روٹی کے چار حرف لیے سوال یہ ہے کتابوں نے کیا دیا مجھ کو نہ جانے کون سا جذبہ تھا جس نے خود ہی نظیرؔ میری ہی ذات کا دشمن بنا دیا مجھ کو نظیرؔ بقری
Dhuaan bana k faza mein ura diya mujh ko Main jal rha tha kissi ne bhuja diya mujh ko Taraqqiyoon ka fasana suna diya mujh ko Abhi hansa bhi na tha aor rula diya mujh ko Main aik zara bulandi ko chuney nikla tha Hawa ne tham k zamin pr gira diya mujh ko Khara hoon aaj bhi roti k chaar harf liye Sawal yeh hai kitaboon ne kiya diya mujh ko Na janey kon sa jazba tha jis ne khud hi “NAZEER” Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko
NAZEER BAAQRI |
FOR MORE |