Hamein Ik Dosrey Ki Addat Hai Ahmad Faraz Ghazal Urdu Sad Poetry
Hamein Ik Dosrey Ki Addat Hai Ahmad Faraz Ghazal Urdu Sad Poetry |
ہمیں اک دوسرے
کی عادت ہے
چلو وہ عشق نہیں چاہنے کی عادت ہے
پر کیا کریں ہمیں اک دوسرے کی عادت ہے
تو اپنی شیشہ گری کا ہُنر نہ کر ضائع
میں آئنیہ ہوں مجھے ٹوٹنے کی عادت ہے
میں کیا کروں کہ مجھے صبر کیوں نہیں آتا
میں کیا کروں کہ تجھے دیکھنے کی عادت ہے
تیرے نصیب میں اے دل سدا کی محرومی
نہ وہ سخی ، نہ تجھے مانگنے کی عادت ہے
وصال میں بھی وہی فراق کا عالم
کہ اُس کو نیند مجھے رت جگے کی عادت ہے
یہ مشکلیں ہوں تو پھر کیسے راستے طے ہوں
میں ناصبور اُسے سوچنے کی عادت ہے
یہ خود اذیتی کب تک فرازؔ تو بھی اُسے
نہ یاد کر کہ جسے بھولنے کی عادت ہے
احمدؔ فراز
Chalo woh ishq nahi chahney ki addat hai
Par kya karein hamein ik dosrey ko dekhney ki addat hai
Tu apni sheesha gari ka hunar na kr zaya
Main aaina hoon muhje tootney ki addat hai
Main kya kahoon k mujhe sabar kyon nahi ata
Main kya karoon k tujhe dekhney ki addat hai
Tere naseeb mein aee dil sada ki mehroomi
Na woh sawali na tujhe mangney ki addat hai
Wisal mein bhi wohi firaq ka aalam
K us ko neend mujhe rat jageyki addat hai
Yeh mushkalein hoon tu phr kaisey rastey the hoon
Main na saboor usey suchney ki addat hai
Yeh khud aziyati kab tak “FARAZ” tub hi ussey
Na yaad kar k jissey bholney ki addat hai
AHMAD FARAZ
FOR MORE |