Blog

Abhi Waqt Hai Mujhe Chor Ja Urdu Sad Poetry

Abhi Waqt Hai Mujhe Chor Ja Urdu Sad Poetry
Abhi Waqt Hai Mujhe Chor Ja Urdu Sad Poetry



ابھی وقت ہے
مجھے چھوڑ جا

ابھی وقت ہے مجھے چھوڑ جا

ابھی مصلحت کا مقا م ہے

ابھی فاصلوں کا قیام ہے

ابھی دسترس میں ہے زندگی

ابھی چشمِ نم میں ہے روشنی

ابھی نقشِ باق و صباق ہے

ابھی کچھ ہی دیر کی بات ہے

ابھی وقت ہے مجھے چھوڑ جا

ابھی گردراہ سے اُڑی نہیں

ابھی کرچیوں میں بٹی نہیں

ابھی ہر نظارہ حسین ہے

ابھی صبحِ نو کا یقین ہے

ابھی ہم کناروں پہ ہیں کھڑے

ابھی وقت ہے مجھے چھوڑ جا

یہ سفر نہیں عازب ہے

یہاں ہر قدم سراب ہے

یہاں بےگمانی کا راج ہے

یہاں بے وفائی رواج ہے

ابھی ہوش کھونے کے دن نہیں

ابھی تیرے رونے کے دن نہیں

ابھی وقت ہے مجھے چھوڑ جا

ابھی ساری نگری اندھیر ہے

ابھی دن نکلنے میں دیر ہے

ابھی بحرِ عشق میں نہ اُتر

ابھی شہر سارا ہے بے خبر

ابھی وقت ہے مجھےچھوڑ جا

 

نا معلوم ؔ

 

Abhi waqt hai mujhe chor ja

Abhi maslihar ka maqam hai

Abhi faslono ka qayam hai

Abhi dastaras mein hai zindaghi

Abhi chasm e nam mein hai zindaghi

Abhi naqsh e pa ko sabaat hai

Abhi kuch dair ki baat hai

Abhi waqt hai mujhe chor ja

Abhi gard rah mein uri nahi

Abhi kirchioon mein bati nahi

Abhi her nazara haseen hai

Abhi hum kinaroon pe hain kharey

Abhi waqt hai mujhe chor ja

Yeh safar nahi yeh azaab hai

Yahan her qadam pe saraab hai

Yahan badgumani ka raj hai

Yahan bewafai riwaj hai

Abhi hosh khoney k din nahi

Abhi tere roney k din nahi

Abhi sari nagri andhair hai

Abhi din nikalney mein dair hai

Abhi behr e ishq mein na uter

Abhi shehar sara hai be khabar

Abhi waqt hai mujhe chor ja

 

NAMALOOM

FOR MORE


 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker