kal hamesha ki tarha us ne kaha wasi shah کل ہمیشہ کی طرح اُس نے کہا یہ فون پر urdu poetry
kal hamesha ki tarha us ne kaha wasi shah |
وصی شاہؔ
کل ہمیشہ کی طرح اُس نے کہا یہ فون پر
میں بہت مصروف ہوں مجھ کو بہت سے کام ہیں
اس لیے تم آؤ ملنے ،میں تو آسکتی نہیں
ہر روایت توڑ کر اس بار میں نے کہہ دیا
تم جو ہو مصروف تو میں بھی بہت مصروف ہوں
تم جو ہو مشہور تو میں بھی بہت معروف ہوں
تم اگر غمگین ہومیں بھی بہت رنجور ہوں
تم تھکن سے چور ہو میں بھی تھکن سے چور ہوں
جانِ من ہے وقت میرا بھی بہت ہی قیمتی
کچھ پُرانے دوستوں نے ملنے آنا ہے ابھی
میں بھی اب فارغ نہیں مجھ کو بھی لاکھوں کام ہیں
ورنہ کہنے کو تو سب لمحے تمہارے نام ہیں
میری آنکھیں بھی بہت بُوجھل ہیں سونا ہے مجھے
رتجگوں کے بعد اب نیندوں میں کھونا ہے مجھے
میں لہواپنی اناؤں
کا بہا سکتا
نہیں
تم نہیں آتیں تو ملنے میں بھی آسکتا نہیں
اُس کو یہ کہہ کر وصیؔ میں نے رسیور رکھ دیا
اور پھر اپنی انا کے پاؤں پر سر رکھ دیا
Kal hamesha ki tarha us ne kaha yeh phone pr
Main buhat masroof hoon mujh ko buhat se kaam hain
Is liye tum ayo milney mein tu aa sakti nahi
Her rawait tor kr is baar main ne keh diya
Tum jo ho masroof tu main bhi buhat masroof hoon
Tum jo ho mashoor tu main bhi buhat mahroof hoon
Tum agger ghangheen ho main bhi buhat ranjoor hoon
Tum thakan se chor ho main bhi thakan se chor hoon
Jan e man hai waqt mera bhi buhat hi qeemti
Kuch puraney dostoon ne milney ana hai abhi
Main ab farigh nahi mujh ko bhi lakhoon kaam hain
Warna kehney ko sabhi lamhey tumhare naam hain
Meri ankhein bhi buhat bhojhal hain sona hai mujhe
Ratjagoon k baad ab neendoon mein khona hai mujhe
Main laho apni anaoon ka baha sakta nahi
Tum nahi atin tu milney main bhi aa sakta nahi
Us ko yeh keh kr wasi main ne receiver rakh diya
Aor phr apni ana k paoon pr sar rakh diya
WASI SHAH
FOR MORE OF WASI SHAH |