Blog

kuch is tarha se kissi ne kaha khuda hafiz afkar alvi urdu hindi poetry

kuch is tarha se kissi ne kaha khuda hafiz afkar alvi urdu hindi poetry
kuch is tarha se kissi ne kaha khuda hafiz afkar alvi urdu hindi poetry

 

خُدا حافظ

کچھ اس طرح سے کسی نے کہا خُدا حافظ

کہ جیسے بول رہا ہوخُدا، خُدا حافظ

میں ایک بار پریشاں ہوا تھا اپنی لیے

جب اُس نے روتے ہوئے بولا تھا خُدا حافظ

تو جس کے پاس بھی جا، جا، تجھے اجازت ہے

تجھے خُدا کے حوالے کیا خُدا حافظ

مجھے تو کیسے خُدا کے سپرد کر رہا ہے

میں تیرا ذمہ ہوں تو کہہ رہا خُدا حافظ

میں ڈھیڑیں مار کے رویا کسی کی یاد آئی

جہاں کہیں بھی سُنا یا پڑھا خُدا حافظ

مکان گرتے رہے لوگ فوت ہوتے رہے

میں دیکھتا رہا کہتا رہا خُدا حافظ

پھر ایک روز مقدر سے ہار مانی گئی

جبین چوم کے بولا گیا خُدا حافظ

میں اُس سے مل کے اُسے دکھ سنانے والا تھا

سلام کرتے ہی جس نے کہا خُدا حافظ

 

افکار علویؔ

 

Kuch is tarha se kissi ne kaha khuda hafiz

K jaisey bol rha ho khuda, khuda hafiz

Main aik baar pareshaan hua tha apne liye

Jab us ne rotey huey bola tha khuda hafiz

Tu jis k pass bhi ja, ja, tujhe ijazat hai

Tujhe khuda k hawaley kiya, khuda hafiz

Mujhe tu kaisey khuda k sapurd kar rha hai

Main tera zima hoon tu keh rha khuda hafiz

Main dhaarein mar k roya kissi ki yaad ayi

Jahan kahin bhi usna ye parha khuda hafiz

Makan girtey rhe log fout hotey rhe

Main dekhta rha kehta rha khuda hafiz

Phir aik roz muqaddar se haar mani gai

Jabeen choom k bola gya khuda hafiz

Main us se mil k usey dukh sunaney wala tha

Salam kartey hi jis ne kaha khuda hafiz

 

AFKAAR ALVI

FOR MORE

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker