Blog

Meri Tarha kissi Se Muhababt Ussey Bhi Thi By Mohsin Naqvi Sad Urdu Poetry

Meri Tarha kissi Se Muhababt Ussey Bhi Thi By Mohsin Naqvi Sad Urdu Poetry
Meri Tarha kissi Se Muhababt Ussey Bhi Thi By Mohsin Naqvi Sad Urdu Poetry

 

میری طرح کسی سے
محبت اُسے بھی تھی



ذکرِ شبِ فراق سے وحشت اُسے بھی تھی

میری طرح کسی سے محبت اُسے بھی تھی

مجھ کو بھی شوق تھا نئے چہروں کی دید کا

راستہ بدل کے چلنے کی عادت اُسے بھی تھی

اُس رات وہ بھی دیر تک رہے محوِ گفتگو

مصروف میں بھی کم تھا فراغت اُسے بھی تھی

سُنتا تھا وہ بھی سب کی پُرانی کہانیاں

تازہ رفاقتوں کی ضرورت اُسے بھی تھی

مجھ سے بچھڑ کے شہر میں گھل مل گیا وہ شخص

حالانکہ شہر بھر سے رقابت اُسے بھی تھی

وہ مجھ سے بڑھ کے ضبط کاعادی تھا جی گیا

ورنہ ہر ایک سانس قیامت اُسے بھی تھی

 

محسن نقویؔ



 

Ziker e shab e firaaq se wehshaat ussey bhi thi

Meri tarha kissi se muhabbat ussey bhi thi

Mujh ko bhi shouq than aye chehroon ki deed ka

Rasta badal k chalney ki addaat ussey bhi thi

Us raat woh bhi dair tak rhe weh e guftugu

Masroof  main bhi
kam tha faraghat ussey bhi thi

Sunnta tha woh bhi sab ki purani kahaniaan

Taza rafaqatoon ki zarorat ussey bhi thi

Mujh se bichar k sheher mein ghul mil gya woh shaks

Halankey sheher bhar se raqabat ussey bhi thi

Woh mujh se bhar k zabt ka addi tha jee gya

Warna her aik sans qayamat ussey bhi thi

 

MOHSIN NAQVI

FOR MORE

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker