Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahe Sakta By Ali Sarmad Urdu Sad Poetry
Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahe Sakta By Ali Sarmad Urdu Sad Poetry |
میں پیشہ وار
فریبی ہوں، محبت کر نہیں سکتا
ارادہ روز کرتا ہوں، مگر کچھ کر نہیں سکتا
میں پیشہ وار فریبی ہوں، محبت کر نہیں سکتا
بُرے ہوں یا کہ اچھے ہوں، مجھے اس سے نہیں مطلب
مجھے مطلب سے مطلب ہے، میں تم سے لڑ نہیں سکتا
یہاں ہر دوسرا انساں، خُدا خود کو سمجھتا ہے
خُدابھی وہ کہ جو اپنی ہی، جولی بھر نہیں سکتا
میں تم سے صاف کہتا ہوں مجھے تم سے نہیں اُلفت
فقط لفظی محبت ہے میں تم پہ مر نہیں سکتا
تمہاری بات سُن لی ہے بہت دُکھ کی کہانی ہے
سنو تم بعد میں آنا ابھی کچھ کر نہیں سکتا
محبت کی مسافت نے بہت زخمی کیا مجھ کو
ابھی یہ زخم بھرنے ہیں میں آہیں بھر نہیں سکتا
صنم تیری محبت نے مجھے نفرت سکھائی ہے
مگر اب اجنبی ہو تم میں نفرت کر نہیں سکتا
بھلے میں نے نہیں چاہا مگر تم نے تو چا ہا ہے
تمہاری یاد کو دل سے تو باہر کر نہیں سکتا
نا جانے آدمی کیوں آدمی سے خوف کھاتا ہے
جو اپنے رب سے ڈرتا ہو کسی سے ڈر نہیں سکتا
آرے او عشق چل جا کام کر کس کو بُلاتا ہے
حُسن بازار میں بکتا ہے سُولی چڑھ نہیں سکتا
یہاں ہر ایک چہرے پر الگ تحریر لکھی ہے
میری آنکھوں میں آنسوہیں ابھی کچھ پڑھ نہیں سکتا
میں اپنی رات کی زلفوں میں خود چاندی سجاتا ہوں
میں اُس کی مانگ میں وعدوں کے ہیرے جڑھ نہیں سکتا
بھلے جُھوٹا منافق ہوں، بہت دُھوکے دیے لیکن
محبت کی صدا ہوں میں ، میں دُھوکا کر نہیں سکتا
میں اُس گھر کا مقیمی ہوں، جسے اوقات کہتے ہیں
میں اپنی حد میں رہتا ہوں سو آگے بڑھ نہیں سکتا
خُدا ہوں نہ ولی ہو ں میں فقط ردِ علی ہوں میں
میں کچھ دے نہیں سکتا میں کچھ کر نہیں سکتا
علیؔ کچھ شعر رہتے ہیں مگر لکھنے نہیں ہرگز
کسی کی لاج رکھنی ہے سو ظاہر کر نہیں سکتا
علیؔ سرمد
Irada rooz karta hoon, magger kuch kr nahi sakta
Main Paishawar faribi hoon, muhabbat kar nahi sakta
Burey ho yeh k achey ho mujhe is se nahi matlab
Mujhe matlab se matlab hai main tum se larh nahi sakta
Yahan her dosra insaan khuda khud ko samjhta hai
Khuda bhi woh k jo apni bhi jholi bhar nahi sakta
Main tum se saaf kehta hoon mujhe tum se nahi ulfat
Faqat lafzi muhababt hai main tum par mar nahi sakta
Tumhari baat sun li hai buhat dukh ki kahani hai
Suno tum baad mein ana abhi kuch kr nahi sakta
Muhababt ki musafat ne buhat zakhmi kiya mujh ko
Abhi yeh zakhm bharney hain mani aahein bhar nahi sakta
Sanam teri muhababt ne mujhe nafrat sekhai hai
Magger ab ajnabi ho tum main nafrat kar nahi sakta
Bhaley main ne nahi Chaha magar tum ne tu chaha hai
Tumhari yaad ko dil se tu bahir kr nahi sakta
Najaney admi kyun admi se khoof khata hai
Jo apney rab se darta ho kissi se dar nahi sakta
Arey oh ishq chal ja kaam kar kis ko bulata hai
Hussan bazar mein bikta hia sooli char nahi sakta
Yahan her aik chehrey pr alag tehreer lekhi hai
Meri ankhoon mein ansu hain abhi kuch parh nahi sakta
Main apni raat ki zulfoon mein khud chandi sajata hoon
Main us ki maang mein wadhoon k heerey jarh nahi sakta
Bhaley jhoota munafaq hoon buhat dhokey diye lekhan
Muhabbat ki sada hoon main, main dhoka kar nahi sakta
Main us ghar ka muqeemi hoon jissey ouqat kehtey hain
Main apni had mein rehta hoon so agey barh nahi sakta
Khuda hoon na na wali hoon main faqat rad e ali hoon main
Main kuch bhi dey nahi sakta main kuch bhi kar nahi sakta
“ALI” kuch sher rehtey hain maggar lekhney nahi herghiz
Kissi ki laaj rakhni hai so zahir kar nahi sakta
ALI SARMAD
FOR MORE |