Teri Her Baat Muhababt Mein Gawara Kar Ke Rahat Indori Urdu Sad Poetry
Teri Her Baat Muhababt Mein Gawara Kar Ke Rahat Indori Urdu Sad Poetry |
تیری ہر بات
محبت میں گوارا کر کے
تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کے
دل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کے
آتے جاتے ہیں کئی رنگ میرے چہرے پر
لوگ لیتے ہیں مزا ذکر تُمہارا کر کے
ایک چنگاڑی نظر آئی تھی بستی میں اُسے
وہ الگ ہٹ گیا آندھی کو اشارہ کر کے
آسمانوں کی طرف پھینک دیا ہے میں نے
چند مٹی کے چراغوں کو ستارہ کر کے
میں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بھنور ہے جس کی
تم نے اچھا ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کے
منتظر ہوں کہ ستاروں کی ذرہ آنکھ لگے
چاند کو چھت پہ بُلا لوں گا اشارہ کر کے
راحتؔ اندوری
Teri her baat muhabbat mein gawara kar ke
Dil k bazaar mein bethey hain khasara kar ke
Atey jatey hain kaayi rung mere chehrey par
Log letey hain mazey ziker tumhara kar ke
Aik chingari nazar ayi thi basti mein ussey
Woh alag hatt gya andhi ko ishara kar ke
Aasmanon ki taraf phenk diya hai main ne
Chand matti ke charaghoon ko sitara kar ke
Main woh darya hoon k her bond bhanwar hai jis ki
Tum ne acha hi kiya mujh se kinara kar ke
Muntazir hoon k sitaroon ki zara aankh lagey
Chaand ko chahat pe bula loon ga ishara kar ke
RAHAT INDORI
FOR MORE |